Friday, 15 February 2013

VOH PAGAL SA EK LADKA THA.....!!!


Voh pagal sa ek ladka tha..
Jo mujhko achcha lagta tha..
Mujhe dekh-dekh kar hansta tha..
Mera bahot mazaak udaata tha..
Meri ankhon mein wo basta tha..
Har roz wo roop badalta tha..
Kabhi Dost, Kabhi Maa, Kabhi Paa ki tarah pyaar karta tha...
Har roop mein acha lagta tha......!!! :'( :-* :))
Aankh mein uske masti thi..
Voh baat baat pe hansta tha..
Baarish ki mast si raaton mein..
Voh khoya khoya sa rehta tha..
Baaton mein uske bechaini thi..
Pareshaan wo mujhko karta tha..
Pagal tha ya dewana tha..
Par mujhko achcha lagta tha..
Voh chand ko chhu kar aaya ho,
Aisa roshan lagta tha..
Voh pagal sa ek ladka tha..
Jo mujhko achcha lagta tha.....!!! (T_T)

No comments: